Hudood e Taira Sidra Huzoor janta han
Khan ha arsh e muela huzoor janta han
Hr ak harf e tamana Huzoor janta han
Tamam hall dilon ka Huzoor janta han
Unhain khabar ha Kahin se perho drood un pr
Tamam Dahar ka Naqsha Huzoor janta han
Broze Hashar shifaet krain ge chun chun kr
Hr ik gulam ka Chahra Huzoor janta han
Broz e Hashar shifaet krain ge wo lakin
Agr hua ye aqida Huzoor janta han
Ma is umeed se nikla hun Hazri ke lya
Mera safar ka irada Huzoor janta han
Bula bhi skta han wo or a bhi skta han
Ke duriyon ko mitana Huzoor janta han
Ma mangta hun unhin se unhin se mangta hun
Huzoor pr hai Bharosa Huzoor janta han
Khuda ne is lya Qasim unhain banaya hai
Ke bantna ka qareena Huzoor janta hain
Isi lya hai laqab un ka Rahmat e Aalam
Ke haal maziyon ferda Huzoor janta hain
Pohanch ke sidra pe ruhul ameen kahna lga
Yahan se age ka rasta huzoor janta han
Qayamat aye gi kub unko ilm hai serwar
Zahoor e Kun ka bhi lamha Huzoor janta hain
Sikhae Ham ko Sahaba ne baat ye serwar
Ke janta hai Khuda or Huzoor janta hain
Hudoor taira sidra written naat